Wednesday, June 20, 2012

Tuesday, June 19, 2012

Ye dil..

jab dekhta hoon main aasmaan ko,
kuch alag kar jaane ka dil karta hai..

Bahar niklu is khuli hawa me to,
us hawa me udd jaane ka dil karta hai..

Bachpan ki baatein yaad karke,
muskurane ka dil karta hai..

jo kuch paane me asafal rahe the kabhi,
unpar ek zor aur lagane ka dil karta hai..

Samundar me kashti ko dekh,
kisi me doob jaane ka dil karta hai..

Roz ki museebaton ke baare me soch,
sab bhool jaane ka dil karta hai..

Ajeeb hai ye zindagi ka safar,
kuch bhi ho,
har pal bitaane ka dil karta hai..

Tum..Kaash

Is dil me basa hua hai ek chehra,
sama gaya hai isme wo kaafi gehra..

har pal har ghadi wo nazar aata hai,
jab socho mann usi me kho jata hai..

akelapan zara bhi lagta nhi hai ab,
Isi se baat kar lete hai jab mann chahe tab..

kaash ye chehra hamesha ke liye saath hota,
apni ek choti si duniya chota sa ghar hota..

Isi choti se duniya me ek zindagi banate,
agar kuch kadam tum badati kuch hum badate..

Wo chehra isliye saath liya phirte hain,
kabhi aaye koi rukavat usi ko yaad kiya karte hain..

Ye dil aaj bhi usi ke liye bekarar hai,
jise chaha tha usi ka intezaar hai..